Saathi Teri Yaad Aati Hai..
Sari raat teri yaadein kyon chali aati hai,
Humko rulane ke irade saath le kar.
Is dil par ab kya guzarna baki hai
Ke har lamha tadpate rahti hai
Ye yaadein kyon humein tanha nahi chodti
Jab tune hi humein tanha choda hai
Kahan socha tha maine, saath kuch aisa hoga
Pyar ka anjaam humein kuch aisa milega
Hum toh tere sapne dekh kar soya karte the
Ab to neend ne bhi humara sath choda hai
Har din tujse milne ki umeed mein jaagta tha
Ab zindagi se bhi koi umeed nahi bachi hai
Tujse baat karne ke liye afsane doondte the,
Har lamha intezaar mein kaat-te the
Ab to ye tanhayi bhi humse baat nahi karti
Ye aankhein to kisi ka intezaar bhi nahi karti
Ab to ye tanhayi bhi humse baat nahi karti
Ye aankhein to kisi ka intezaar bhi nahi karti
Tere jaane ke baad to sab kuch soona pada hai
Mohabbat ke rahon mein saathi khoya hai
Ab main kise dhoondu en veeran rahon mein
Sochta hoon to dil rone lagta hai
Hum se to zindagi ne manzil hi cheena hai
Teri yaadien lekar hi ab hum ko jeena hai
Mushkil hain in raahon se guzarna akele
Magar teri yaddein mujhe nahi chodti akele..
Comment Form under post in blogger/blogspot